teri ai shah-e-KHuban ho bala chaT
tirī ai shāh-e-ḳhūbāñ ho balā chaT
vo bosa de ki ho jis kī sadā chaT
muñDā kar ḳhatt-e-ruḳh us mah-laqā ne
kiyā hai aa.ine kā ghar safā-chaT
mujhī ko gāliyāñ dete rahe vo
magar letā rahā bose chaTā-chaT
tumhārī zulf kā bāñdhā na chhūTā
Dasā kaale ne jis ko vo muā chaT
musallam murġh-e-dil hai mehmān-e-ġham
kare jald ai ḳhudā vo ye ġhizā chaT
'vaqār' us gul ko ġhuncha ne jo dekhā
to ausāf-e-dahan meñ bol uThā chaT
teri ai shah-e-KHuban ho bala chaT
wo bosa de ki ho jis ki sada chaT
munDa kar KHatt-e-ruKH us mah-laqa ne
kiya hai aaine ka ghar safa-chaT
mujhi ko galiyan dete rahe wo
magar leta raha bose chaTa-chaT
tumhaari zulf ka bandha na chhuTa
Dasa kale ne jis ko wo mua chaT
musallam murgh-e-dil hai mehman-e-gham
kare jald ai KHuda wo ye ghiza chaT
'waqar' us gul ko ghuncha ne jo dekha
to ausaf-e-dahan mein bol uTha chaT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.