Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri chaal dhun teri sans sur mere dil ko aa ke sanbhaal bhi

Tanveer Monis

teri chaal dhun teri sans sur mere dil ko aa ke sanbhaal bhi

Tanveer Monis

MORE BYTanveer Monis

    tirī chaal dhun tirī saañs sur mire dil ko aa ke sañbhāl bhī

    jo ye jal-tarañg zarā bajā to ye Daal degā dhamāl bhī

    na uchhāl jhiil meñ kankarī ki ye ḳhaufnāk khel hai

    isī khel meñ na utar paḌe tirī aañkh par ye vabāl bhī

    ka.ī log morcha-band ḳhauf ret meñ haiñ karam karam

    tire haath meñ ye jo sang hai kisī samt us ko uchhāl bhī

    ai mukartī aañkh 'adāvateñ qayām bhī haiñ sabāt bhī

    tire saath dushmanī ik taraf nahīñ dostī majāl bhī

    tire tark-e-rāh ke faisle javāz maiñ nahīñ māñgtā

    magar aane vaalā koī to vaqt uThā.egā ye savāl bhī

    yad-e-baizā hai mālkin ai safed sang mūrtī

    tirī aañkh dariyā-e-nīl hai mirī raat koī nikāl bhī

    teri chaal dhun teri sans sur mere dil ko aa ke sanbhaal bhi

    jo ye jal-tarang zara baja to ye Dal dega dhamal bhi

    na uchhaal jhil mein kankari ki ye KHaufnak sa khel hai

    isi khel mein na utar paDe teri aankh par ye wabaal bhi

    kai log morcha-band KHauf ki ret mein hain karam karam

    tere hath mein ye jo sang hai kisi samt us ko uchhaal bhi

    ai mukarti aankh 'adawaten tu qayam bhi hain sabaat bhi

    tere sath dushmani ek taraf nahin dosti ki majal bhi

    tere tark-e-rah ke faisle ka jawaz main nahin mangta

    magar aane wala koi to waqt uThaega ye sawal bhi

    yad-e-baiza ki tu hai malkin ai safed sang ki murti

    teri aankh dariya-e-nil hai meri raat koi nikal bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now