teri chashm-e-tar mein rawan-dawan gham-e-ishq ka jo malal hai
teri chashm-e-tar mein rawan-dawan gham-e-ishq ka jo malal hai
Aftab Shakeel
MORE BYAftab Shakeel
tirī chashm-e-tar meñ ravāñ-davāñ ġham-e-ishq kā jo malāl hai
ye hī ibtidā-e-firāq hai ye hī intihā-e-visāl hai
hai qarīb phir bhī hai ajnabī tū idhar nahīñ maiñ udhar nahīñ
kisī raah ke haiñ do samt ham maiñ junūb huuñ tū shumāl hai
mirī hālatoñ meñ nihāñ haiñ ab tirī justujū kī ḳharābiyāñ
na maiñ ġham-zada na maiñ shādmāñ mirā haal bhī koī haal hai
tū sitam kare to ināyateñ maiñ gilā karūñ to shikāyateñ
tirā har suḳhan vahī arsh kī merā bolnā bhī muhāl hai
vo burā kahe mujhe rāt-din ye razā hai us ke mizāj kī
use 'āfī' maiñ bhī burā kahūñ kahāñ mujh meñ itnī majāl hai
teri chashm-e-tar mein rawan-dawan gham-e-ishq ka jo malal hai
ye hi ibtida-e-firaq hai ye hi intiha-e-visal hai
hai qarib phir bhi hai ajnabi tu idhar nahin main udhar nahin
kisi rah ke hain do samt hum main junub hun tu shumal hai
meri haalaton mein nihan hain ab teri justuju ki KHarabiyan
na main gham-zada na main shadman mera haal bhi koi haal hai
tu sitam kare to inayaten main gila karun to shikayaten
tera har suKHan wahi arsh ki mera bolna bhi muhaal hai
wo bura kahe mujhe raat-din ye raza hai us ke mizaj ki
use 'afi' main bhi bura kahun kahan mujh mein itni majal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.