teri chhuwan ki KHafi raushni se jal jata
tirī chhuvan kī ḳhafī raushnī se jal jaatā
badan-charāġh tirī raushnī se jal jaatā
asīr-e-zabt ye dil āñsuoñ kā pyāsā thā
hañsī se aatī huī raushnī se jal jaatā
shab-e-firāq añdheroñ meñ jalne vaalā maiñ
shab-e-visāl jalī raushnī se jal jaatā
vo misl-e-rāt bujhā detī shams-e-jān-o-dil
maiñ misl-e-chāñd bujhī raushnī se jal jaatā
ye to maiñ huuñ jo tirī raushnī meñ bhīgtā huuñ
agar tū hotā isī raushnī se jal jaatā
teri chhuwan ki KHafi raushni se jal jata
badan-charagh teri raushni se jal jata
asir-e-zabt ye dil aansuon ka pyasa tha
hansi se aati hui raushni se jal jata
shab-e-firaq andheron mein jalne wala main
shab-e-visal jali raushni se jal jata
wo misl-e-raat bujha deti shams-e-jaan-o-dil
main misl-e-chand bujhi raushni se jal jata
ye to main hun jo teri raushni mein bhigta hun
agar tu hota isi raushni se jal jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.