teri gali mujh dil ko pyari lage
tirī gaalī mujh dil ko pyārī lage
duā merī tujh man meñ bhārī lage
tadī qadr-e-āshiq kī būjhe sajan
kisī saath agar tujh kuuñ yaarī lage
bhulā deve vo aish-o-ārām sab
jise zulf siiñ be-qarārī lage
nahīñ tujh sā aur shoḳh ai man hiran
tirī baat dil ko nyārī lage
bhavāñ terī shamshīr zulfāñ kamand
palak terī jaise kaTārī lage
hue sarv bāzār dāman kā dekh
agar gard-e-dāman kanārī lage
na jānūñ tū saaqī thā kis bazm kā
nayan terī mujh kuuñ ḳhumārī lage
vahī qadr 'fā.ez' kī jaane bahut
jise ishq kā zaḳhm kaarī lage
teri gali mujh dil ko pyari lage
dua meri tujh man mein bhaari lage
tadi qadr-e-ashiq ki bujhe sajan
kisi sath agar tujh kun yari lage
bhula dewe wo aish-o-aram sab
jise zulf sin be-qarari lage
nahin tujh sa aur shoKH ai man hiran
teri baat dil ko nyari lage
bhawan teri shamshir zulfan kamand
palak teri jaise kaTari lage
hue sarw bazar daman ka dekh
agar gard-e-daman kanari lage
na jaanun tu saqi tha kis bazm ka
nayan teri mujh kun KHumari lage
wahi qadr 'faez' ki jaane bahut
jise ishq ka zaKHm kari lage
- Book : Intekhab Kalam (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.