teri hi shakl ke but hain kai tarashe hue
tirī hī shakl ke but haiñ ka.ī tarāshe hue
na pūchh ka.aba-e-dil meñ bhī kyā tamāshe hue
hamārī laash ko maidān-e-ishq meñ pahchān
bujhī huī sī haiñ āñkheñ to dil ḳharāshe hue
ba-vaqt-e-vasl koī baat bhī na kī ham ne
zabāñ thī sūkhī huī hoñT irti.āshe hue
vo kaise baat ko toleñge aur boleñge
jo pal meñ tole hue aur pal meñ māshe hue
mazāq chhoḌ batā ye ki mujh se kyā parda
tire nuqūsh haiñ saare mire talāshe hue
maiñ tere shahr se niklā thā ain us lamha
tire nikāh pe taqsīm jab batāshe hue
teri hi shakl ke but hain kai tarashe hue
na puchh kaba-e-dil mein bhi kya tamashe hue
hamari lash ko maidan-e-ishq mein pahchan
bujhi hui si hain aankhen to dil KHarashe hue
ba-waqt-e-wasl koi baat bhi na ki hum ne
zaban thi sukhi hui honT irtiashe hue
wo kaise baat ko tolenge aur bolenge
jo pal mein tole hue aur pal mein mashe hue
mazaq chhoD bata ye ki mujh se kya parda
tere nuqush hain sare mere talashe hue
main tere shahr se nikla tha ain us lamha
tere nikah pe taqsim jab batashe hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.