teri judai mein ye dil bahut dukhi to nahin
tirī judā.ī meñ ye dil bahut dukhī to nahīñ
ki us ke vāste ye rut koī na.ī to nahīñ
tum apne apne lage the vagarna āñkhoñ meñ
ik aur ḳhvāb sajāne kī taab thī to nahīñ
tumhāre lab pe khilā hai to va.ada hai taslīm
vagarna apne bharose kī tum rahī to nahīñ
tire baġhair na jiine kā ahd puurā kiyā
tire baġhair jo kaaTī vo zindagī to nahīñ
kabhī kabhī mujhe lagtā hai vo nahīñ hai vo
magar kabhī kabhī lagtā hai vo vahī to nahīñ
teri judai mein ye dil bahut dukhi to nahin
ki us ke waste ye rut koi nai to nahin
tum apne apne lage the wagarna aankhon mein
ek aur KHwab sajaane ki tab thi to nahin
tumhaare lab pe khila hai to wada hai taslim
wagarna apne bharose ki tum rahi to nahin
tere baghair na jine ka ahd pura kiya
tere baghair jo kaTi wo zindagi to nahin
kabhi kabhi mujhe lagta hai wo nahin hai wo
magar kabhi kabhi lagta hai wo wahi to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.