teri judai ne ye kya bana diya hai mujhe
tirī judā.ī ne ye kyā banā diyā hai mujhe
maiñ ek jism thā saaya banā diyā hai mujhe
samundaroñ se koī kam na thī mirī auqāt
bas ek dard ne sahrā banā diyā hai mujhe
purāne log samajhte the kuchh nayā huuñ maiñ
na.e dinoñ ne purānā banā diyā hai mujhe
jo us se rishta thā sab ko batā.e jaatā hai
ga.e dinoñ kā havāla banā diyā hai mujhe
'hasn-jamīl' un āñkhoñ kī kyā karūñ tārīf
ḳhudā ko mānñe vaalā banā diyā hai mujhe
teri judai ne ye kya bana diya hai mujhe
main ek jism tha saya bana diya hai mujhe
samundaron se koi kam na thi meri auqat
bas ek dard ne sahra bana diya hai mujhe
purane log samajhte the kuchh naya hun main
nae dinon ne purana bana diya hai mujhe
jo us se rishta tha sab ko batae jata hai
gae dinon ka hawala bana diya hai mujhe
'hasn-jamil' un aankhon ki kya karun tarif
KHuda ko manne wala bana diya hai mujhe
- Book : Makan Khulty Hain (Pg. 44)
- Author : Hassan Jameel
- Publication : Nastalique Al-firoz center Gazni Street, Urdu Bazar,Lahore (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.