tirī koshish ham ai dil sa.i-e-lā-hāsil samajhte haiñ
sar-e-manzil tujhe begāna-e-manzil samajhte haiñ
usūl-e-zindagī jāñ-dāda-e-qātil samajhte haiñ
na sar ko sar samajhte haiñ na dil ko dil samajhte haiñ
ġharīq-e-bahr-e-ulfat āshnā-e-qulzum-e-ma.anī
jahāñ par Duub kar ubhreñ use sāhil samajhte haiñ
dayār-e-ishq ke sākin zamīñ par paañv kyā rakkheñ
yahāñ ke zarre zarre ko jab apnā dil samajhte haiñ
kareñ kyā un se shikva jo kisī ke dil jalāne ko
faroġh-e-garmī-e-hañgāma-e-mahfil samajhte haiñ
jhukānā āstāñ par sar koī mushkil nahīñ lekin
jabīn-e-bandagī ko ham kab is qābil samajhte haiñ
shikasta-dil liye ye soch kar is bazm se niklā
shikāyat kījiye un se jo dil ko dil samajhte haiñ
ye dil hāzir hai bismillāh vo kholeñ girah is kī
agar āsān hall-e-uqda-e-mushkil samajhte haiñ
lab-e-fariyād agar kholūñ to kyā hañgāma barpā ho
ḳhamoshī ko mirī jab guftugū-e-dil samajhte haiñ
vo ḳhalvat ho ki jalvat ho tajallī ho ki tārīkī
jahāñ tum ho usī ko ham bharī mahfil samajhte haiñ
irāda ho to dil mazbūt kar ai Dūbne vaale
jab aisā vaqt ho dhāre ko bhī sāhil samajhte haiñ
dam-e-āḳhir rukā hai ek aañsū dīda-e-tar meñ
isī ko hasti-e-nākām kā hāsil samajhte haiñ
vafā kī had dikhā kar jalne vaale dil ḳhudā-hāfiz
tujhe bhī ik charāġh-e-Kushta-e-manzil samajhte haiñ
miTā Daalā mujhe phir bhī ye hai bedād kī hasrat
abhī fehrist-e-maujūdāt meñ shāmil samajhte haiñ
mirā tarz-e-sulūk is raah ke rah-rau na samjheñge
magar jo rāhbar rāh-e-haq-o-bātil samajhte haiñ
nisār-e-dost hai ye motiyoñ kā be-bahā maalā
har ik aañsū ko ham TuuTā huā ik dil samajhte haiñ
jinheñ ma.alūm hai terī nigāh-e-nāz kā aalam
vo apne zabt ke da.avoñ ko ḳhud bātil samajhte haiñ
'azīz' afkār-e-duniyā aur mashāġhil sher-goī ke
ahibbā kī mohabbat hai jo is qābil samajhte haiñ
teri koshish hum ai dil sai-e-la-hasil samajhte hain
sar-e-manzil tujhe begana-e-manzil samajhte hain
usul-e-zindagi jaan-dada-e-qatil samajhte hain
na sar ko sar samajhte hain na dil ko dil samajhte hain
ghariq-e-bahr-e-ulfat aashna-e-qulzum-e-mani
jahan par Dub kar ubhren use sahil samajhte hain
dayar-e-ishq ke sakin zamin par panw kya rakkhen
yahan ke zarre zarre ko jab apna dil samajhte hain
karen kya un se shikwa jo kisi ke dil jalane ko
farogh-e-garmi-e-hangama-e-mahfil samajhte hain
jhukana aastan par sar koi mushkil nahin lekin
jabin-e-bandagi ko hum kab is qabil samajhte hain
shikasta-dil liye ye soch kar is bazm se nikla
shikayat kijiye un se jo dil ko dil samajhte hain
ye dil hazir hai bismillah wo kholen girah is ki
agar aasan hall-e-uqda-e-mushkil samajhte hain
lab-e-fariyaad agar kholun to kya hangama barpa ho
KHamoshi ko meri jab guftugu-e-dil samajhte hain
wo KHalwat ho ki jalwat ho tajalli ho ki tariki
jahan tum ho usi ko hum bhari mahfil samajhte hain
irada ho to dil mazbut kar ai Dubne wale
jab aisa waqt ho dhaare ko bhi sahil samajhte hain
dam-e-aKHir ruka hai ek aansu dida-e-tar mein
isi ko hasti-e-nakaam ka hasil samajhte hain
wafa ki had dikha kar jalne wale dil KHuda-hafiz
tujhe bhi ek charagh-e-Kushta-e-manzil samajhte hain
miTa Dala mujhe phir bhi ye hai bedad ki hasrat
abhi fehrist-e-maujudat mein shamil samajhte hain
mera tarz-e-suluk is rah ke rah-rau na samjhenge
magar jo rahbar rah-e-haq-o-baatil samajhte hain
nisar-e-dost hai ye motiyon ka be-baha mala
har ek aansu ko hum TuTa hua ek dil samajhte hain
jinhen malum hai teri nigah-e-naz ka aalam
wo apne zabt ke dawon ko KHud baatil samajhte hain
'aziz' afkar-e-duniya aur mashaghil sher-goi ke
ahibba ki mohabbat hai jo is qabil samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.