teri madad ka yahan tak hisab dena paDa
tirī madad kā yahāñ tak hisāb denā paḌā
charāġh le ke mujhe āftāb denā paḌā
har ek haath meñ do do sifārshī ḳhat the
har ek shaḳhs ko koī ḳhitāb denā paḌā
ta.alluqāt meñ kuchh to darār paḌnī thī
ka.ī savāl the jin kā javāb denā paḌā
ab is sazā se baḌī aur kyā sazā hogī
na.e sire se purānā hisāb denā paḌā
is intizām se kyā koī mutma.in hotā
kisī kā hissa kisī ko janāb denā paḌā
teri madad ka yahan tak hisab dena paDa
charagh le ke mujhe aaftab dena paDa
har ek hath mein do do sifarshi KHat the
har ek shaKHs ko koi KHitab dena paDa
talluqat mein kuchh to darar paDni thi
kai sawal the jin ka jawab dena paDa
ab is saza se baDi aur kya saza hogi
nae sire se purana hisab dena paDa
is intizam se kya koi mutmain hota
kisi ka hissa kisi ko janab dena paDa
- Book : Dhoop Phir Nikal aai (Pg. 13)
- Author : Haseeb soz
- Publication : Lamhe lamhe Publications, Imam bara Alapur, (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.