teri manzil-e-gham ka ghammaz tha
Interesting Fact
ظفر اقبال نے یہ تعزیتی غزل مجید امجد کی یاد میں لکھی تھی، یہ غزل ان کے کسی مجموعۂ کلام میں شامل نہیں ہے۔
tirī manzil-e-ġham kā ġhammāz thā
yahī jo tirā shauq-e-parvāz thā
rahā ho ke zāhir bhī poshīda tū
dil-e-dahr kā kaun sā raaz thā
bahut muztarib thī koī mauj-e-ḳhūñ
bahut munfarid koī andāz thā
dam-e-vāpsīñ paas hotā bhī kaun
ki tū aap hī apnā dam-sāz thā
tirī yaad meñ jalsa-e-ta.aziyat
tujhe bhuul jaane kā āġhāz thā
teri manzil-e-gham ka ghammaz tha
yahi jo tera shauq-e-parwaz tha
raha ho ke zahir bhi poshida tu
dil-e-dahr ka kaun sa raaz tha
bahut muztarib thi koi mauj-e-KHun
bahut munfarid koi andaz tha
dam-e-wapsin pas hota bhi kaun
ki tu aap hi apna dam-saz tha
teri yaad mein jalsa-e-taziyat
tujhe bhul jaane ka aaghaz tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.