Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri nazar ke ishaaron ko dil-kashi baKHshi

Qaisar Nizami

teri nazar ke ishaaron ko dil-kashi baKHshi

Qaisar Nizami

MORE BYQaisar Nizami

    tirī nazar ke ishāroñ ko dil-kashī baḳhshī

    nazar-navāz nazāroñ ko tāzgī baḳhshī

    ḳhizāñ zad meñ ab tak tirā gulistāñ thā

    hamīñ ne aa ke bahāroñ ko zindagī baḳhshī

    chaman ko ham ne apne lahū se sīñchā hai

    kalī ko ham ne ik tarz-e-dil-kashī baḳhshī

    tirī adā bhī adā hai vo ik qayāmat

    ye aur baat hai tāroñ ko dil-kashī baḳhshī

    hai zo.am chāk-e-girebāñ ko apnī qismat par

    ki tum ne kyuuñ na majāl-e-rafū-garī baḳhshī

    sunā do ahl-e-vafā ko ye falsafa 'qaisar'

    junūñ ne hosh duniyā ko āgahī baḳhshī

    teri nazar ke ishaaron ko dil-kashi baKHshi

    nazar-nawaz nazaron ko tazgi baKHshi

    KHizan ki zad mein hi ab tak tera gulistan tha

    hamin ne aa ke bahaaron ko zindagi baKHshi

    chaman ko hum ne hi apne lahu se sincha hai

    kali ko hum ne hi ek tarz-e-dil-kashi baKHshi

    teri ada bhi ada hai wo ek qayamat ki

    ye aur baat hai taron ko dil-kashi baKHshi

    hai zoam chaak-e-gireban ko apni qismat par

    ki tum ne kyun na majal-e-rafu-gari baKHshi

    suna do ahl-e-wafa ko ye falsafa 'qaisar'

    junun ne hosh ki duniya ko aagahi baKHshi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    teri nazar ke ishaaron ko dil-kashi baKHshi Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now