teri nigah-e-karam kyon hamin pe ziyaada hai
teri nigah-e-karam kyon hamin pe ziyaada hai
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
tirī nigāh-e-karam kyoñ hamīñ pe ziyāda hai
zamāne tū hī batā kyā tirā irāda hai
kitāb-e-dil to likhī ham ne shauq se lekin
paḌegā kaun use har varaq hī saada hai
bhulānā chāho hameñ shauq se bhulā do magar
tumheñ bhulā na sakeñge hamārā va.ada hai
khileñge phuul mohabbat ke intizār karo
abhī to duur talak barf kā labāda hai
chalegā khel siyāsat kā kis ke buute par
bisāt-e-vaqt pe kamzor har piyāda hai
ġhazal ke fan pe abhī us kī hukmarānī hai
'majīd' apnī hukūmat kā shāhzāda hai
teri nigah-e-karam kyon hamin pe ziyaada hai
zamane tu hi bata kya tera irada hai
kitab-e-dil to likhi hum ne shauq se lekin
paDega kaun use har waraq hi sada hai
bhulana chaho hamein shauq se bhula do magar
tumhein bhula na sakenge hamara wada hai
khilenge phul mohabbat ke intizar karo
abhi to dur talak barf ka labaada hai
chalega khel siyasat ka kis ke bute par
bisat-e-waqt pe kamzor har piyaada hai
ghazal ke fan pe abhi us ki hukmarani hai
'majid' apni hukumat ka shahzada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.