teri nigah ne apna bana ke chhoD diya
tirī nigāh ne apnā banā ke chhoḌ diyā
hañsā ke paas bulāyā rulā ke chhoḌ diyā
hasīn jalvoñ meñ gum ho ga.ī nazar merī
ye kyā kiyā ki jo parda uThā ke chhoḌ diyā
junūñ meñ ab mujhe apnī ḳhabar na ġhairoñ kī
ye ġham ne kaun sī manzil pe lā ke chhoḌ diyā
jo ma.arifat ke gulābī nashe se ho bhar-pūr
vo jaam tū ne nazar se pilā ke chhoḌ diyā
kisī ne aaj zamāne ke ḳhauf se 'shevan'
hamārā naam bhī hoñToñ pe lā ke chhoḌ diyā
teri nigah ne apna bana ke chhoD diya
hansa ke pas bulaya rula ke chhoD diya
hasin jalwon mein gum ho gai nazar meri
ye kya kiya ki jo parda uTha ke chhoD diya
junun mein ab mujhe apni KHabar na ghairon ki
ye gham ne kaun si manzil pe la ke chhoD diya
jo marifat ke gulabi nashe se ho bhar-pur
wo jam tu ne nazar se pila ke chhoD diya
kisi ne aaj zamane ke KHauf se 'shewan'
hamara nam bhi honTon pe la ke chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.