teri talash mein nikle hain tere diwane
tirī talāsh meñ nikle haiñ tere dīvāne
kahāñ sahar ho kahāñ shaam ho ḳhudā jaane
haram hamīñ se hamīñ se haiñ aaj but-ḳhāne
ye aur baat hai duniyā hameñ na pahchāne
haram kī raah meñ haa.il nahīñ haiñ but-ḳhāne
haram se ahl-e-haram ho ga.e haiñ begāne
ye ġhaur tū ne kiyā bhī ki hashr kyā hogā
taḌap uTThe jo qayāmat meñ tere dīvāne
'azīz' apnā irāda kabhī badal na sakā
haram kī raah meñ aa.e hazār but-ḳhāne
teri talash mein nikle hain tere diwane
kahan sahar ho kahan sham ho KHuda jaane
haram hamin se hamin se hain aaj but-KHane
ye aur baat hai duniya hamein na pahchane
haram ki rah mein hail nahin hain but-KHane
haram se ahl-e-haram ho gae hain begane
ye ghaur tu ne kiya bhi ki hashr kya hoga
taDap uTThe jo qayamat mein tere diwane
'aziz' apna irada kabhi badal na saka
haram ki rah mein aae hazar but-KHane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.