teri talab mein mujhe sharmsar hona tha
tirī talab meñ mujhe sharmsār honā thā
rahīn-e-minnat-e-lail-o-nahār honā thā
jo mubtalā-e-ġham-e-rozgār honā thā
to dil pe apne zarā iḳhtiyār honā thā
firāqe-e-gul meñ agar dil-figār honā thā
to har kalī ko mirā ġham-gusār honā thā
jo mujh ko vaqf-e-ġham-e-intizār honā thā
to ahd-o-fe.al kā kuchh e.atibār honā thā
tumheñ to jalva-fagan baar baar honā thā
ki is jahāñ ko zarā sāzgār honā thā
teri talab mein mujhe sharmsar hona tha
rahin-e-minnat-e-lail-o-nahaar hona tha
jo mubtala-e-gham-e-rozgar hona tha
to dil pe apne zara iKHtiyar hona tha
firaqe-e-gul mein agar dil-figar hona tha
to har kali ko mera gham-gusar hona tha
jo mujh ko waqf-e-gham-e-intizar hona tha
to ahd-o-feal ka kuchh eatibar hona tha
tumhein to jalwa-fagan bar bar hona tha
ki is jahan ko zara sazgar hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.