teri yaadon ko yakja kyon karun main
tirī yādoñ ko yakjā kyoñ karūñ maiñ
ye malba ab ikaTThā kyoñ karūñ maiñ
jahāñ pahle bhī koī rah chukā ho
usī dil meñ guzārā kyoñ karūñ maiñ
pareshānī meñ us ko aazmā kar
musībat meñ izāfa kyoñ karūñ maiñ
tumhārā pyaar hai ashyā ke mānind
to phir jazboñ kā saudā kyoñ karūñ maiñ
dil-e-mafrūr kī chaukhaT pe jā kar
mohabbat kā taqāzā kyoñ karūñ maiñ
teri yaadon ko yakja kyon karun main
ye malba ab ikaTTha kyon karun main
jahan pahle bhi koi rah chuka ho
usi dil mein guzara kyon karun main
pareshani mein us ko aazma kar
musibat mein izafa kyon karun main
tumhaara pyar hai ashya ke manind
to phir jazbon ka sauda kyon karun main
dil-e-mafrur ki chaukhaT pe ja kar
mohabbat ka taqaza kyon karun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.