teri zulfon mein dil uljha hua hai
tirī zulfoñ meñ dil uljhā huā hai
balā ke pech meñ aayā huā hai
na kyūñkar bū-e-ḳhūñ naame se aa.e
usī jallād kā likkhā huā hai
chale duniyā se jis kī yaad meñ ham
ġhazab hai vo hameñ bhūlā huā hai
kahūñ kyā haal aglī ishratoñ kā
vo thā ik ḳhvāb jo bhūlā huā hai
jafā ho yā vafā ham sab meñ ḳhush haiñ
kareñ kyā ab to dil aTkā huā hai
huī hai ishq hī se husn kī qadr
hamīñ se aap kā shohrā huā hai
butoñ par rahtī hai maa.il hamesha
tabī.at ko ḳhudāyā kyā huā hai
pareshāñ rahte ho din raat 'akbar'
ye kis kī zulf kā saudā huā hai
teri zulfon mein dil uljha hua hai
bala ke pech mein aaya hua hai
na kyunkar bu-e-KHun name se aae
usi jallad ka likkha hua hai
chale duniya se jis ki yaad mein hum
ghazab hai wo hamein bhula hua hai
kahun kya haal agli ishraton ka
wo tha ek KHwab jo bhula hua hai
jafa ho ya wafa hum sab mein KHush hain
karen kya ab to dil aTka hua hai
hui hai ishq hi se husn ki qadr
hamin se aap ka shohra hua hai
buton par rahti hai mail hamesha
tabiat ko KHudaya kya hua hai
pareshan rahte ho din raat 'akbar'
ye kis ki zulf ka sauda hua hai
- Book : kulliyat-e-akbar allahabadi (Pg. 111)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.