tishnagi dil ki bujhana to KHabar kar dena
tishnagī dil kī bujhānā to ḳhabar kar denā
ashk āñkhoñ meñ chhupānā to ḳhabar kar denā
ham ne kuchh giit likhe haiñ jo sunānā haiñ tumheñ
tum kabhī bazm sajānā to ḳhabar kar denā
hādse rāh-e-mohabbat kā muqaddar Thahre
jab hameñ dil se bhulānā to ḳhabar kar denā
jin kitāboñ meñ chhupā.e haiñ mire ḳhat tum ne
un kitāboñ ko jalānā to ḳhabar kar denā
aaj begāna samajhte ho to samjho lekin
jab satā.e ye zamāna to ḳhabar kar denā
maiñ zarūr ā.ūñgā 'mansūr' tumhārī ḳhātir
tum jo maqtal ko sajānā to ḳhabar kar denā
tishnagi dil ki bujhana to KHabar kar dena
ashk aankhon mein chhupana to KHabar kar dena
hum ne kuchh git likhe hain jo sunana hain tumhein
tum kabhi bazm sajaana to KHabar kar dena
hadse rah-e-mohabbat ka muqaddar Thahre
jab hamein dil se bhulana to KHabar kar dena
jin kitabon mein chhupae hain mere KHat tum ne
un kitabon ko jalana to KHabar kar dena
aaj begana samajhte ho to samjho lekin
jab satae ye zamana to KHabar kar dena
main zarur aaunga 'mansur' tumhaari KHatir
tum jo maqtal ko sajaana to KHabar kar dena
- Book : Kashmakash (Pg. 105)
- Author : Mansoor Usmani
- Publication : Najma House, Baradari, Moradabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.