tishnagi had se baDh gai hai ab
tishnagī had se baḌh ga.ī hai ab
zindagī qad se baḌh ga.ī hai ab
pahle rahte the sad masā.il-e-jāñ
gintī ye sad se baḌh ga.ī hai ab
zulf-e-jānāñ kī pākī-o-rangat
sang-e-asvad se baḌh ga.ī hai ab
abtarī yuuñ na thī magar hākim
terī masnad se baḌh ga.ī hai ab
hauz-e-kausar kī chāshnī yaaro
ism-e-ahmad se baḌh ga.ī hai ab
pahle bachpan thā ab javānī hai
umr abjad se baḌh ga.ī hai ab
zindagī muḳhtasar thī 'kāshif' kī
maut kī zad se baḌh ga.ī hai ab
tishnagi had se baDh gai hai ab
zindagi qad se baDh gai hai ab
pahle rahte the sad masail-e-jaan
ginti ye sad se baDh gai hai ab
zulf-e-jaanan ki paki-o-rangat
sang-e-aswad se baDh gai hai ab
abtari yun na thi magar hakim
teri masnad se baDh gai hai ab
hauz-e-kausar ki chashni yaro
ism-e-ahmad se baDh gai hai ab
pahle bachpan tha ab jawani hai
umr abjad se baDh gai hai ab
zindagi muKHtasar thi 'kashif' ki
maut ki zad se baDh gai hai ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.