tishnagi ne sarab hi likkha
tishnagī ne sarāb hī likkhā
ḳhvāb dekhā thā ḳhvāb hī likkhā
ham ne likkhā nisāb-e-tīra-shabī
aur ba-sad āb-o-tāb hī likkhā
munshiyān-e-shuhūd ne tā-hāl
zikr-e-ġhaib-o-hijāb hī likkhā
na rakhā ham ne besh-o-kam kā ḳhayāl
shauq ko be-hisāb hī likkhā
dosto ham ne apnā haal use
jab bhī likkhā ḳharāb hī likkhā
na likhā us ne koī bhī maktūb
phir bhī ham ne javāb hī likkhā
ham ne is shahr-e-dīn-o-daulat meñ
masḳharoñ ko janāb hī likkhā
tishnagi ne sarab hi likkha
KHwab dekha tha KHwab hi likkha
hum ne likkha nisab-e-tira-shabi
aur ba-sad aab-o-tab hi likkha
munshiyan-e-shuhud ne ta-haal
zikr-e-ghaib-o-hijab hi likkha
na rakha hum ne besh-o-kam ka KHayal
shauq ko be-hisab hi likkha
dosto hum ne apna haal use
jab bhi likkha KHarab hi likkha
na likha us ne koi bhi maktub
phir bhi hum ne jawab hi likkha
hum ne is shahr-e-din-o-daulat mein
masKHaron ko janab hi likkha
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 35)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.