titliyan KHushbuen rang sab
titliyāñ ḳhushbueñ rañg sab
khā ga.ī ik balā jañg sab
khiḌkiyāñ chāñd mukhḌe hañsī
chhuT ga.e kitne farsañg sab
ḳhvāb umreñ galī rāste
zindagī se haiñ dil tañg sab
go bahut iḳhtilāfāt the
phir bhī rahte to the sañg sab
ghar se ghabrā.e phirte haiñ jo
ye na jiine ke haiñ Dhañg sab
dopahar niiñd yādeñ parind
phir se karne lage tañg sab
ye alag guftugū kam kareñ
ham ko aate to haiñ Dhañg sab
harf aañsū ḳhamoshī suḳhan
us kī yādoñ ke haiñ rañg sab
yuuñ achānak bharī bazm se
tum uThe rah ga.e dañg sab
titliyan KHushbuen rang sab
kha gai ek bala jang sab
khiDkiyan chand mukhDe hansi
chhuT gae kitne farsang sab
KHwab umren gali raste
zindagi se hain dil tang sab
go bahut iKHtilafat the
phir bhi rahte to the sang sab
ghar se ghabrae phirte hain jo
ye na jine ke hain Dhang sab
dopahar nind yaaden parind
phir se karne lage tang sab
ye alag guftugu kam karen
hum ko aate to hain Dhang sab
harf aansu KHamoshi suKHan
us ki yaadon ke hain rang sab
yun achanak bhari bazm se
tum uThe rah gae dang sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.