titliyon ka rang ho ya jhumte baadal ka rang
titliyoñ kā rang ho yā jhūmte bādal kā rang
ham ne har ik rang ko jaanā tire āñchal kā rang
terī āñkhoñ kī chamak hai yā sitāroñ kī ziyā
raat kā hai ghup añdherā yā tire kājal kā rang
dhaḌkanoñ ke taal par vo haal apne dil kā hai
jaise gorī ke thirakte paañv meñ paa.el kā rang
pheñknā tum soch kar lafzoñ kā ye kaḌvā gulāl
phail jaatā hai kabhī sadiyoñ pe bhī ik pal kā rang
aah ye rangīn mausam ḳhuun kī barsāt kā
chhā rahā hai 'aql par jazbāt kī halchal kā rang
ab to shabnam kā har ik motī hai kankar kī tarah
haañ usī gulshan pe chhāyā thā kabhī maḳhmal kā rang
phir rahe haiñ log hāthoñ meñ liye ḳhanjar khule
kūche kūche meñ ab aatā hai nazar maqtal kā rang
chaar jānib jis kī rā'nā.ī ke charche haiñ 'qatīl'
jaane kab dekheñge ham us aane vaalī kal kā rang
titliyon ka rang ho ya jhumte baadal ka rang
hum ne har ek rang ko jaana tere aanchal ka rang
teri aankhon ki chamak hai ya sitaron ki ziya
raat ka hai ghup andhera ya tere kajal ka rang
dhaDkanon ke tal par wo haal apne dil ka hai
jaise gori ke thirakte panw mein pael ka rang
phenkna tum soch kar lafzon ka ye kaDwa gulal
phail jata hai kabhi sadiyon pe bhi ek pal ka rang
aah ye rangin mausam KHun ki barsat ka
chha raha hai 'aql par jazbaat ki halchal ka rang
ab to shabnam ka har ek moti hai kankar ki tarah
han usi gulshan pe chhaya tha kabhi maKHmal ka rang
phir rahe hain log hathon mein liye KHanjar khule
kuche kuche mein ab aata hai nazar maqtal ka rang
chaar jaanib jis ki ra'nai ke charche hain 'qatil'
jaane kab dekhenge hum us aane wali kal ka rang
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 109)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.