titliyon ki hasin sangat se
titliyoñ kī hasīn sañgat se
phuul khilne lage haiñ nik.hat se
aisā guzrā hai ik zamāna bhī
maiñ bhī chāhā gayā thā shiddat se
TuuT jaane ke bāvajūd ye dil
baaz aayā nahīñ mohabbat se
sher hotā hai daad miltī hai
'jaun' 'mohsin' 'farāz' 'sarvat' se
ye mujhe aaj kal huā kyā hai
vird kartā huuñ terā kasrat se
hosh shāfī gañvā na baiTheñ ham
yuuñ na dekho hameñ sharārat se
titliyon ki hasin sangat se
phul khilne lage hain nikhat se
aisa guzra hai ek zamana bhi
main bhi chaha gaya tha shiddat se
TuT jaane ke bawajud ye dil
baz aaya nahin mohabbat se
sher hota hai dad milti hai
'jaun' 'mohsin' 'faraaz' 'sarwat' se
ye mujhe aaj kal hua kya hai
wird karta hun tera kasrat se
hosh shafi ganwa na baiThen hum
yun na dekho hamein shararat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.