to kya hua jo tamashai ho gaya hun main
to kyā huā jo tamāshā.ī ho gayā huuñ maiñ
tire hī haq meñ to sab jhuuT boltā huuñ maiñ
nahīñ ye dukh to kisī aur ke sabab hai sab
tumheñ to dil se rihā.ī bhī de chukā huuñ maiñ
Darūñ na kyoñ maiñ bhalā terī ġham-gusārī se
ki is ke ba.ad ke sab moḌ jāntā huuñ maiñ
ye pūchhnā thā ki merī bhī kuchh jagah hai kahīñ
tumhāre dar pe khaḌā sard paḌ rahā huuñ maiñ
mujhe pata hai ki rone se kuchh nahīñ hotā
nayā sā dukh hai to thoḌā chhalak gayā huuñ maiñ
to kya hua jo tamashai ho gaya hun main
tere hi haq mein to sab jhuT bolta hun main
nahin ye dukh to kisi aur ke sabab hai sab
tumhein to dil se rihai bhi de chuka hun main
Darun na kyon main bhala teri gham-gusari se
ki is ke baad ke sab moD jaanta hun main
ye puchhna tha ki meri bhi kuchh jagah hai kahin
tumhaare dar pe khaDa sard paD raha hun main
mujhe pata hai ki rone se kuchh nahin hota
naya sa dukh hai to thoDa chhalak gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.