to main bhi KHush hun koi us se ja ke kah dena
to maiñ bhī ḳhush huuñ koī us se jā ke kah denā
agar vo ḳhush hai mujhe be-qarār karte hue
tumheñ ḳhabar hī nahīñ hai ki koī TuuT gayā
mohabbatoñ ko bahut pā.edār karte hue
maiñ muskurātā huā aa.ine meñ ubharūñgā
vo ro paḌegī achānak siñghār karte hue
mujhe ḳhabar thī ki ab lauT kar na ā.ūñgā
so tujh ko yaad kiyā dil pe vaar karte hue
ye kah rahī thī samundar nahīñ ye āñkheñ haiñ
maiñ in meñ Duub gayā e'tibār karte hue
bhañvar jo mujh meñ paḌe haiñ vo maiñ hī jāntā huuñ
tumhāre hijr ke dariyā ko paar karte hue
to main bhi KHush hun koi us se ja ke kah dena
agar wo KHush hai mujhe be-qarar karte hue
tumhein KHabar hi nahin hai ki koi TuT gaya
mohabbaton ko bahut paedar karte hue
main muskuraata hua aaine mein ubharunga
wo ro paDegi achanak singhaar karte hue
mujhe KHabar thi ki ab lauT kar na aaunga
so tujh ko yaad kiya dil pe war karte hue
ye kah rahi thi samundar nahin ye aankhen hain
main in mein Dub gaya e'tibar karte hue
bhanwar jo mujh mein paDe hain wo main hi jaanta hun
tumhaare hijr ke dariya ko par karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.