to meri zindagi banogi tum
to mirī zindagī banogī tum
mar gayā maiñ to kyā rahogī tum
nahīñ aadat koī bhalī tum meñ
mujhe zāhir hai kyuuñ ginogī tum
vo jo zohra hai, hai mirī devī
jaan jal jal ke jal marogī tum
kyā sulagtā huuñ kyā dahaktā huuñ
ab kaho! mujh se kab milogī tum
mirī aadat hai kaaT khāne kī
mire bosoñ ko kyā sahogī tum
maiñ jo huuñ maiñ huuñ sab nahīñ huuñ maiñ
vo jo vo sab jinheñ paḌhogī tum
to meri zindagi banogi tum
mar gaya main to kya rahogi tum
nahin aadat koi bhali tum mein
mujhe zahir hai kyun ginogi tum
wo jo zohra hai, hai meri dewi
jaan jal jal ke jal marogi tum
kya sulagta hun kya dahakta hun
ab kaho! mujh se kab milogi tum
meri aadat hai kaT khane ki
mere boson ko kya sahogi tum
main jo hun main hun sab nahin hun main
wo jo wo sab jinhen paDhogi tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.