to Thik hai chala lenge dua-salam se kaam
to Thiik hai chalā leñge duā-salām se kaam
ham aise rakhte haiñ vaise bhī apne kaam se kaam
mahāz-e-ishq pe miltī hai sābirīn ko fat.h
yahāñ pe chaltā nahīñ josh-e-intiqām se kaam
in āte-jāte ho.uuñ se bhalā ham aisoñ ko kyā
ki ham divānoñ ko mai se ġharaz hai jaam se kaam
hamārā naam jinheñ ek aañkh bhātā nahīñ
vo bhī nikāl rahe haiñ hamāre naam se kaam
rah-e-hayāt meñ chalte haiñ phūñk phūñk ke ham
so ham ko kyā bhalā tujh se subuk-ḳhirām se kaam
to Thik hai chala lenge dua-salam se kaam
hum aise rakhte hain waise bhi apne kaam se kaam
mahaz-e-ishq pe milti hai sabirin ko fath
yahan pe chalta nahin josh-e-intiqam se kaam
in aate-jate houn se bhala hum aison ko kya
ki hum diwanon ko mai se gharaz hai jam se kaam
hamara nam jinhen ek aankh bhata nahin
wo bhi nikal rahe hain hamare nam se kaam
rah-e-hayat mein chalte hain phunk phunk ke hum
so hum ko kya bhala tujh se subuk-KHiram se kaam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.