tohfa-e-ahd-e-wafa dijiye aap
tohfa-e-ahd-e-vafā dījiye aap
bevafā huuñ to sazā dījiye aap
ham ne rakhā hai havāoñ kā bharam
ham charāġhoñ ko duā dījiye aap
āj-kal niiñd bahut aatī hai
merī āñkhoñ ko sazā dījiye aap
rabt kuchh to ho marāsim ke liye
mujh pe ilzām lagā dījiye aap
rasm-e-tanqīd chal rahī hai yahāñ
rasm-e-tā.īd uThā dījiye aap
phir maiñ uThā huuñ nayā azm liye
phir koī zaḳhm nayā dījiye aap
tohfa-e-ahd-e-wafa dijiye aap
bewafa hun to saza dijiye aap
hum ne rakha hai hawaon ka bharam
hum charaghon ko dua dijiye aap
aaj-kal nind bahut aati hai
meri aankhon ko saza dijiye aap
rabt kuchh to ho marasim ke liye
mujh pe ilzam laga dijiye aap
rasm-e-tanqid chal rahi hai yahan
rasm-e-taid uTha dijiye aap
phir main uTha hun naya azm liye
phir koi zaKHm naya dijiye aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.