tohmat-e-ishq jab uTha li hai
tohmat-e-ishq jab uThā lī hai
phir kyuuñ insāf kā savālī hai
aaj maiñ ḳhud se bahs kartī rahī
aur ab merā zehn ḳhālī hai
terā koī na thā misāliya yaar
bevafā.ī bhī to misālī hai
hāfiza maiñ ne aaj jaane diyā
ik tirī yaad hī bachā lī hai
ham haiñ ikkīsvīñ sadī ke log
ham ne ḳhud meñ jagah banā lī hai
'bushrā' ḳhud hī dukhāyā dil apnā
apne hī dil se phir duā lī hai
tohmat-e-ishq jab uTha li hai
phir kyun insaf ka sawali hai
aaj main KHud se bahs karti rahi
aur ab mera zehn KHali hai
tera koi na tha misaliya yar
bewafai bhi to misali hai
hafiza main ne aaj jaane diya
ek teri yaad hi bacha li hai
hum hain ikkiswin sadi ke log
hum ne KHud mein jagah bana li hai
'bushra' KHud hi dukhaya dil apna
apne hi dil se phir dua li hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.