tujh bin aaram-e-jaan kahan hai mujhe
tujh bin ārām-e-jāñ kahāñ hai mujhe
zindagānī vabāl-e-jāñ hai mujhe
gar yahī dard-e-hijr hai terā
ziist kā apnī kab gumāñ hai mujhe
misl-e-tūtī hazār ma.anī meñ
sehr-e-sāz-e-suḳhan zabāñ hai mujhe
hai ḳhayāl us kā māna-e-guftār
varna sau quvvat-e-bayāñ hai mujhe
ḳhāmushī be-sabab nahīñ 'bedār'
bā.is-e-zīstan dahāñ hai mujhe
tujh bin aaram-e-jaan kahan hai mujhe
zindagani wabaal-e-jaan hai mujhe
gar yahi dard-e-hijr hai tera
zist ka apni kab guman hai mujhe
misl-e-tuti hazar mani mein
sehr-e-saz-e-suKHan zaban hai mujhe
hai KHayal us ka mana-e-guftar
warna sau quwwat-e-bayan hai mujhe
KHamushi be-sabab nahin 'bedar'
bais-e-zistan dahan hai mujhe
- Deewan-e-Bedar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.