Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujh bin ai nau-bahaar ke manind

Meer Taqi Meer

tujh bin ai nau-bahaar ke manind

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    tujh bin ai nau-bahār ke mānind

    chaak hai dil anaar ke mānind

    pahuñchī shāyad jigar tak ātish-e-'ishq

    ashk haiñ sab sharār ke mānind

    dimāġh us rah se uThne

    baiThe ab ham ġhubār ke mānind

    koī nikle kalī to laale

    is dil-e-dāġh-dār ke mānind

    sarv ko dekh ġhash kiyā ham ne

    thā chaman meñ vo yaar ke mānind

    haar kar shab gale paḌe us ke

    ham bhī phūloñ ke haar ke mānind

    barq taḌpī bahut vale na huī

    is dil-e-be-qarār ke mānind

    qaaf

    un ne khīñchī thī said-gah meñ teġh

    barq-e-abr-e-bahār ke mānind

    us ke ghoḌe ke aage se na Tale

    ham bhī duble shikār ke mānind

    qaaf

    zaḳhm khā baiThiyo jigar par mat

    bhī mujh dil-figār ke mānind

    us sar-tez har palak hai 'mīr'

    ḳhanjar-e-ābdār ke mānind

    tujh bin ai nau-bahaar ke manind

    chaak hai dil anar ke manind

    pahunchi shayad jigar tak aatish-e-'ishq

    ashk hain sab sharar ke manind

    ku dimagh us ki rah se uThne ka

    baiThe ab hum ghubar ke manind

    koi nikle kali to lale ki

    is dil-e-dagh-dar ke manind

    sarw ko dekh ghash kiya hum ne

    tha chaman mein wo yar ke manind

    haar kar shab gale paDe us ke

    hum bhi phulon ke haar ke manind

    barq taDpi bahut wale na hui

    is dil-e-be-qarar ke manind

    qaf

    un ne khinchi thi said-gah mein tegh

    barq-e-abr-e-bahaar ke manind

    us ke ghoDe ke aage se na Tale

    hum bhi duble shikar ke manind

    qaf

    zaKHm kha baiThiyo jigar par mat

    tu bhi mujh dil-figar ke manind

    us ki sar-tez har palak hai 'mir'

    KHanjar-e-abdar ke manind

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0797
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now