tujh bin ghar kitna suna tha
tujh bin ghar kitnā suunā thā
dīvāroñ se Dar lagtā thā
bhūlī nahīñ vo shām-e-judā.ī
maiñ us roz bahut royā thā
tujh ko jaane kī jaldī thī
aur maiñ tujh ko rok rahā thā
merī āñkheñ bhī rotī thiiñ
shaam kā taarā bhī rotā thā
galiyāñ shaam se bujhī bujhī thiiñ
chāñd bhī jaldī Duub gayā thā
sannāTe meñ jaise koī
duur se āvāzeñ detā thā
yādoñ kī sīḌhī se 'nāsir'
raat ik saayā sā utrā thā
tujh bin ghar kitna suna tha
diwaron se Dar lagta tha
bhuli nahin wo sham-e-judai
main us roz bahut roya tha
tujh ko jaane ki jaldi thi
aur main tujh ko rok raha tha
meri aankhen bhi roti thin
sham ka tara bhi rota tha
galiyan sham se bujhi bujhi thin
chand bhi jaldi Dub gaya tha
sannaTe mein jaise koi
dur se aawazen deta tha
yaadon ki siDhi se 'nasir'
raat ek saya sa utra tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.