tujh jaisa ek aanchal chahun apne jaisa daman DhunDun
tujh jaisa ek aanchal chahun apne jaisa daman DhunDun
Bimal Krishn Ashk
MORE BYBimal Krishn Ashk
tujh jaisā ik āñchal chāhūñ apne jaisā dāman DhūñDūñ
maile maile sho.ala dekhūñ paanī āñgan āñgan DhūñDūñ
ye komal dhartī kyā mere bhārī dukh kā bojh sahegī
udhar idhar lākhoñ duniyā.eñ kyuuñ na koī aur āñgan DhūñDūñ
aisā bhī kyā pyaar ki jis se kul duniyā piilī paḌ jaa.e
kesar āñchal āñchal dekhūñ haldī dāman dāman DhūñDūñ
isī aam kī kokh se ik din merā bholā-pan upjā thā
isī aam kī jaḌeñ khod kar ik din apnā bachpan DhūñDūñ
tum se kyā tum bhes badal kar baiTh raho hañsmukh chehroñ meñ
maiñ āñkhoñ meñ aañsū bhar kar sahrā sahrā ban ban DhūñDūñ
yaaro mere pāgal-pan kā sach-much koī ilaaj nahīñ hai
niim niim par koyal chāhūñ kīkar kīkar jāman DhūñDūñ
maan liyā dil bas meñ nahīñ hai phir bhī jiinā to hogā hī
yā ab apnā tan bisrā duuñ yā phir aur koī tan DhūñDūñ
tujh jaisa ek aanchal chahun apne jaisa daman DhunDun
maile maile shoala dekhun pani aangan aangan DhunDun
ye komal dharti kya mere bhaari dukh ka bojh sahegi
udhar idhar lakhon duniyaen kyun na koi aur aangan DhunDun
aisa bhi kya pyar ki jis se kul duniya pili paD jae
kesar aanchal aanchal dekhun haldi daman daman DhunDun
isi aam ki kokh se ek din mera bhola-pan upja tha
isi aam ki jaDen khod kar ek din apna bachpan DhunDun
tum se kya tum bhes badal kar baiTh raho hansmukh chehron mein
main aankhon mein aansu bhar kar sahra sahra ban ban DhunDun
yaro mere pagal-pan ka sach-much koi ilaj nahin hai
nim nim par koyal chahun kikar kikar jaman DhunDun
man liya dil bas mein nahin hai phir bhi jina to hoga hi
ya ab apna tan bisra dun ya phir aur koi tan DhunDun
- Book : sheerazah (Pg. 133)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.