tujhko ai mehr-e-jahan-tab KHabar hai ki nahin
tujhko ai mehr-e-jahan-tab KHabar hai ki nahin
Mansooruddin Quraishi Mansoor
MORE BYMansooruddin Quraishi Mansoor
tujh ko ai mehr-e-jahāñ-tāb ḳhabar hai ki nahīñ
ziist kī shab mirī muhtāj-e-sahar hai ki nahīñ
kis liye ḳhauf tujhe hai mirī hamrāhī meñ
rahbarī meñ mirī mahfūz ḳhizar hai ki nahīñ
tū hī tanhā nahīñ badnām-e-zamāna ai dost
bevafā terī tarah nau-e-bashar hai ki nahīñ
kyoñ karūñ ḳhud pe maiñ pābandī-e-manzil aa.ed
dasht phailā huā tā-hadd-e-nazar hai ki nahīñ
aañkh to tū ne niDar ho ke milā lī thī magar
tab se sharmā.ī huī terī nazar hai ki nahīñ
aql hairān hai aqdār kī tabdīlī par
kal jo thā aib vahī aaj hunar hai ki nahīñ
kyoñ vo hamsā.egī-e-arsh pe nāzāñ na rahe
rif.at-e-dār pe 'mansūr' kā ghar hai ki nahīñ
tujh ko ai mehr-e-jahan-tab KHabar hai ki nahin
zist ki shab meri muhtaj-e-sahar hai ki nahin
kis liye KHauf tujhe hai meri hamrahi mein
rahbari mein meri mahfuz KHizar hai ki nahin
tu hi tanha nahin badnam-e-zamana ai dost
bewafa teri tarah nau-e-bashar hai ki nahin
kyon karun KHud pe main pabandi-e-manzil aaed
dasht phaila hua ta-hadd-e-nazar hai ki nahin
aankh to tu ne niDar ho ke mila li thi magar
tab se sharmai hui teri nazar hai ki nahin
aql hairan hai aqdar ki tabdili par
kal jo tha aib wahi aaj hunar hai ki nahin
kyon wo hamsaegi-e-arsh pe nazan na rahe
rifat-e-dar pe 'mansur' ka ghar hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.