tujhko apna ke bhi apna nahin hone dena
tujh ko apnā ke bhī apnā nahīñ hone denā
zaḳhm-e-dil ko kabhī achchhā nahīñ hone denā
maiñ to dushman ko bhī mushkil meñ kumak bhejūñgā
itnī jaldī use paspā nahīñ hone denā
tū ne merā nahīñ honā hai to phir yaad rahe
maiñ ne tujh ko bhī kisī kā nahīñ hone denā
tū ne kitnoñ ko nachāyā hai ishāroñ pe magar
maiñ ne ai 'ishq ye mujrā nahīñ hone denā
us ne khaa.ī hai qasam phir se mujhe bhūlne kī
maiñ ne is baar bhī aisā nahīñ hone denā
zindagī meñ to tujhe chhoḌ hī detā lekin
phir ye sochā tujhe beva nahīñ hone denā
maz.hab-e-'ishq koī chhoḌ mare to maiñ ne
aise murtad kā janāza nahīñ hone denā
tujh ko apna ke bhi apna nahin hone dena
zaKHm-e-dil ko kabhi achchha nahin hone dena
main to dushman ko bhi mushkil mein kumak bhejunga
itni jaldi use paspa nahin hone dena
tu ne mera nahin hona hai to phir yaad rahe
main ne tujh ko bhi kisi ka nahin hone dena
tu ne kitnon ko nachaya hai ishaaron pe magar
main ne ai 'ishq ye mujra nahin hone dena
us ne khai hai qasam phir se mujhe bhulne ki
main ne is bar bhi aisa nahin hone dena
zindagi mein to tujhe chhoD hi deta lekin
phir ye socha tujhe bewa nahin hone dena
mazhab-e-'ishq koi chhoD mare to main ne
aise murtad ka janaza nahin hone dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.