tujhko bechainiyon ka pas nahin
tujh ko bechainiyoñ kā paas nahīñ
tujh se vaise bhī koī aas nahīñ
terī bātoñ se aisā lagtā hai
jaise izzat tujhe bhī raas nahīñ
be-sabab muskurā.e jaate ho
phir bhī kahte ho maiñ udaas nahīñ
tujh ko marvā.eñgī tirī āñkheñ
merā da.avā hai ye qayās nahīñ
maiñ jo kahtā huuñ mujh se duur raho
ye nasīhat hai iltimās nahīñ
tujh ko bechainiyon ka pas nahin
tujh se waise bhi koi aas nahin
teri baaton se aisa lagta hai
jaise izzat tujhe bhi ras nahin
be-sabab muskurae jate ho
phir bhi kahte ho main udas nahin
tujh ko marwaengi teri aankhen
mera dawa hai ye qayas nahin
main jo kahta hun mujh se dur raho
ye nasihat hai iltimas nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.