tujhko chahun meri majal kahan
tujh ko chāhūñ mirī majāl kahāñ
bas meñ lekin mirā ḳhayāl kahāñ
terā milnā muhāl hai lekin
tū jo chāhe to phir muhāl kahāñ
ek lamha karam kā de dete
maiñ ne māñge the māh-o-sāl kahāñ
phir nasheman qafas meñ yaad aayā
maiñ kahāñ aur mirā ḳhayāl kahāñ
mai-kadā jo rah-e-hayāt meñ ho
gumrahī kā phir ehtimāl kahāñ
dil ne mushkil se chain paayā thā
phir se aayā tirā ḳhayāl kahāñ
vo mile bhī to ajnabī kī tarah
pursish-e-hāl kā savāl kahāñ
jalva-e-husn meñ huā huuñ gum
ab yahāñ jā-e-qīl-o-qāl kahāñ
chup hī behtar hai is zamāne meñ
sunñe vaalā hai dil kā haal kahāñ
kyā na dekhā 'habīb' duniyā meñ
yaañ se jaane meñ phir malāl kahāñ
tujh ko chahun meri majal kahan
bas mein lekin mera KHayal kahan
tera milna muhaal hai lekin
tu jo chahe to phir muhaal kahan
ek lamha karam ka de dete
main ne mange the mah-o-sal kahan
phir nasheman qafas mein yaad aaya
main kahan aur mera KHayal kahan
mai-kada jo rah-e-hayat mein ho
gumrahi ka phir ehtimal kahan
dil ne mushkil se chain paya tha
phir se aaya tera KHayal kahan
wo mile bhi to ajnabi ki tarah
pursish-e-haal ka sawal kahan
jalwa-e-husn mein hua hun gum
ab yahan ja-e-qil-o-qal kahan
chup hi behtar hai is zamane mein
sunne wala hai dil ka haal kahan
kya na dekha 'habib' duniya mein
yan se jaane mein phir malal kahan
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 80)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.