tujhko dekha to meri aankh ne dekha mujh mein
tujh ko dekhā to mirī aañkh ne dekhā mujh meñ
jhilmilātā hai koī pahle hī tujh sā mujh meñ
ek girte hue aivāñ kā bharosā kyā hai
bas isī ḳhauf se vo shaḳhs na Thahrā mujh meñ
itnā gahrā thā ki gahrā.ī mujhe le Duubī
sab kināroñ pe rahe koī na utrā mujh meñ
baiTh jaatā hai thakā dard yahāñ aa ke kabhī
yaad kyā hai tirī dīvār kā saaya mujh meñ
ga.e mausam kī khulī dhuup na yādoñ pe paḌe
barf pighlegī to chaḌh jā.eñge dariyā mujh meñ
tujh ko dekha to meri aankh ne dekha mujh mein
jhilmilata hai koi pahle hi tujh sa mujh mein
ek girte hue aiwan ka bharosa kya hai
bas isi KHauf se wo shaKHs na Thahra mujh mein
itna gahra tha ki gahrai mujhe le Dubi
sab kinaron pe rahe koi na utra mujh mein
baiTh jata hai thaka dard yahan aa ke kabhi
yaad kya hai teri diwar ka saya mujh mein
gae mausam ki khuli dhup na yaadon pe paDe
barf pighlegi to chaDh jaenge dariya mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.