tujhko dekhe ek zamana ho gaya
tujh ko dekhe ik zamāna ho gayā
zahr ab to āb-o-dāna ho gayā
ishq jiine kā bahāna ho gayā
daam thā qismat se daana ho gayā
muskurā kar tū ravāna ho gayā
merī vahshat kā bahāna ho gayā
sair karke tū chaman se kyā chalā
dil bhī pahlū se ravāna ho gayā
ek din ro.e the terī yaad meñ
thā ye qissa jo fasāna ho gayā
dī jilā aisī tasavvur ne tire
dil mirā ā.īna-ḳhāna ho gayā
pūchhte ho haal kyā 'ālī' kā ab
mar gayā vo to zamāna ho gayā
tujh ko dekhe ek zamana ho gaya
zahr ab to aab-o-dana ho gaya
ishq jine ka bahana ho gaya
dam tha qismat se dana ho gaya
muskura kar tu rawana ho gaya
meri wahshat ka bahana ho gaya
sair karke tu chaman se kya chala
dil bhi pahlu se rawana ho gaya
ek din roe the teri yaad mein
tha ye qissa jo fasana ho gaya
di jila aisi tasawwur ne tere
dil mera aaina-KHana ho gaya
puchhte ho haal kya 'ali' ka ab
mar gaya wo to zamana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.