tujhko hai zauq-e-sakun ai dil-e-betab abhi
tujh ko hai zauq-e-sakūñ ai dil-e-betāb abhī
sub.h hai aur hai tū muntazir-e-ḳhvāb abhī
abhī andesha-e-tārāj-e-ḳhizāñ baaqī hai
vaqt hañsne kā nahīñ ai gul-e-shādāb abhī
fikr-e-tāmīr bhī ġhāfil nahīñ bebas hai magar
ki junūñ-ḳhez haiñ taḳhrīb ke asbāb abhī
jis se duniyā kī jarāhat kā mudāvā ho jaa.e
nosh-dārū vo zamāne meñ hai nāyāb abhī
jis ke har jur.a meñ ho kaif-e-musāvāt nihāñ
mai-kadoñ meñ nahīñ miltī vo mai-e-nāb abhī
qais-o-farhād kī taqlīd pe marne vaale
dasht-o-kohsār meñ haiñ naqsh vo ādāb abhī
faiz-e-qudrat meñ kamī koī nahīñ hai lekin
phir bhī muhtāj hai ye ālam-e-asbāb abhī
mujh se 'mahrūm' taqāzā-e-ġhazal hai be-sūd
ki mirī fikr meñ hai nauha-e-panjāb abhī
tujh ko hai zauq-e-sakun ai dil-e-betab abhi
subh hai aur hai tu muntazir-e-KHwab abhi
abhi andesha-e-taraj-e-KHizan baqi hai
waqt hansne ka nahin ai gul-e-shadab abhi
fikr-e-tamir bhi ghafil nahin bebas hai magar
ki junun-KHez hain taKHrib ke asbab abhi
jis se duniya ki jarahat ka mudawa ho jae
nosh-daru wo zamane mein hai nayab abhi
jis ke har jura mein ho kaif-e-musawat nihan
mai-kadon mein nahin milti wo mai-e-nab abhi
qais-o-farhad ki taqlid pe marne wale
dasht-o-kohsar mein hain naqsh wo aadab abhi
faiz-e-qudrat mein kami koi nahin hai lekin
phir bhi muhtaj hai ye aalam-e-asbab abhi
mujh se 'mahrum' taqaza-e-ghazal hai be-sud
ki meri fikr mein hai nauha-e-panjab abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.