tujhko kya batlaun kaun se achchhe hain
tujh ko kyā batlā.ūñ kaun se achchhe haiñ
tere qurb ke saare lamhe achchhe haiñ
tujh ko dekhe bin jo tujh ko dekhte haiñ
dekhne vāloñ se vo andhe achchhe haiñ
terī ik tasvīr hai saare kamroñ meñ
mere ghar ke saare kamre achchhe haiñ
tujh ko dekhne vaalī āñkheñ chūmūñgā
terī bāteñ karne vaale achchhe haiñ
tū ne jis message meñ pyaar jatāyā thā
saare message us ke jaise achchhe haiñ
jab terī tasvīr banā.ūñ to mujh ko
lagtā hai ki cell ke camere achchhe haiñ
whatsapp par to on nazar aa jaatī hai
jhagḌe meñ bhī itne rābte achchhe haiñ
terī āñkheñ paper yaar riyāzī ke
dil tak dekhne vaale kuliye achchhe haiñ
har message meñ dil hī bhejā jaatā hai
bātoñ se to yaar ishāre achchhe haiñ
tujh ko kya batlaun kaun se achchhe hain
tere qurb ke sare lamhe achchhe hain
tujh ko dekhe bin jo tujh ko dekhte hain
dekhne walon se wo andhe achchhe hain
teri ek taswir hai sare kamron mein
mere ghar ke sare kamre achchhe hain
tujh ko dekhne wali aankhen chumunga
teri baaten karne wale achchhe hain
tu ne jis message mein pyar jataya tha
sare message us ke jaise achchhe hain
jab teri taswir banaun to mujh ko
lagta hai ki cell ke camere achchhe hain
whatsapp par to on nazar aa jati hai
jhagDe mein bhi itne rabte achchhe hain
teri aankhen paper yar riyazi ke
dil tak dekhne wale kuliye achchhe hain
har message mein dil hi bheja jata hai
baaton se to yar ishaare achchhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.