tujhko rakhti hun apni sochon mein
tujh ko rakhtī huuñ apnī sochoñ meñ
phuul khilte haiñ kitne rastoñ meñ
vāpsī kī nahīñ hai raah koī
jhāñk baiThī huuñ terī āñkhoñ meñ
maiñ bhī un kā vajūd lagne lagī
aise khoī huuñ khulte rañgoñ meñ
jis tarah dhuup meñ shajar koī
apnā lagtā hai mujh ko ġhairoñ meñ
vo bayāñ meñ to aa nahīñ saktā
is ko likkhūñ bhalā kyā lafzoñ meñ
niiñd merī to le gayā koī
kaise dekhūñ maiñ is ko ḳhvāboñ meñ
āsmāñ vaale kuchh ḳhabar bhī hai
bhuuk ugne lagī hai khetoñ meñ
kaun suntā hai hāl-e-dil 'sayyad'
log bahre haiñ saare shahroñ meñ
tujh ko rakhti hun apni sochon mein
phul khilte hain kitne raston mein
wapsi ki nahin hai rah koi
jhank baiThi hun teri aankhon mein
main bhi un ka wajud lagne lagi
aise khoi hun khulte rangon mein
jis tarah dhup mein shajar koi
apna lagta hai mujh ko ghairon mein
wo bayan mein to aa nahin sakta
is ko likkhun bhala kya lafzon mein
nind meri to le gaya koi
kaise dekhun main is ko KHwabon mein
aasman wale kuchh KHabar bhi hai
bhuk ugne lagi hai kheton mein
kaun sunta hai haal-e-dil 'sayyad'
log bahre hain sare shahron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.