tujhko socha to pata ho gaya ruswai ko
tujh ko sochā to patā ho gayā rusvā.ī ko
maiñ ne mahfūz samajh rakkhā thā tanhā.ī ko
jism kī chaah lakīroñ se adā kartā hai
ḳhaak samjhegā musavvir tirī añgḌā.ī ko
apnī dariyā.ī pe itrā na bahut ai dariyā
ek qatra hī bahut hai tirī rusvā.ī ko
chāhe jitnā bhī bigaḌ jaa.e zamāne kā chalan
jhuuT se hārte dekhā nahīñ sachchā.ī ko
saath maujoñ ke sabhī hoñ jahāñ bahne vaale
kaun samjhegā samundar tirī gahrā.ī ko
apnī tanhā.ī bhī kuchh kam na thī masrūf 'vasīm'
is liye chhoḌ diyā anjuman-ārā.ī ko
tujh ko socha to pata ho gaya ruswai ko
main ne mahfuz samajh rakkha tha tanhai ko
jism ki chah lakiron se ada karta hai
KHak samjhega musawwir teri angDai ko
apni dariyai pe itra na bahut ai dariya
ek qatra hi bahut hai teri ruswai ko
chahe jitna bhi bigaD jae zamane ka chalan
jhuT se haarte dekha nahin sachchai ko
sath maujon ke sabhi hon jahan bahne wale
kaun samjhega samundar teri gahrai ko
apni tanhai bhi kuchh kam na thi masruf 'wasim'
is liye chhoD diya anjuman-arai ko
- Book : Aankhon Ankhon Rahe (Pg. 58)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.