tujhko to quwwat-e-izhaar zamane se mili
tujh ko to quvvat-e-iz.hār zamāne se milī
mujh ko āzāda-ravī ḳhuun jalāne se milī
qarya-e-jāñ kī tarah un pe udāsī thī muhīt
dar-o-dīvār ko raunaq tire aane se milī
yuuñ tasallī ko to ik yaad bhī kaafī thī magar
dil ko taskīn tire lauT ke aane se milī
maiñ ḳhizāñ-dīda shajar kī tarah gumnām sā thā
mujh ko vaq.at tirī tasvīr banāne se milī
shāḳh-e-ehsās pe jo phuul khile haiñ un ko
zindagī husn kā idrāk baḌhāne se milī
jāgtī aañkh se jo ḳhvāb thā dekhā 'anvar'
us kī ta.abīr mujhe dil ke jalāne se milī
tujh ko to quwwat-e-izhaar zamane se mili
mujh ko aazada-rawi KHun jalane se mili
qarya-e-jaan ki tarah un pe udasi thi muhit
dar-o-diwar ko raunaq tere aane se mili
yun tasalli ko to ek yaad bhi kafi thi magar
dil ko taskin tere lauT ke aane se mili
main KHizan-dida shajar ki tarah gumnam sa tha
mujh ko waqat teri taswir banane se mili
shaKH-e-ehsas pe jo phul khile hain un ko
zindagi husn ka idrak baDhane se mili
jagti aankh se jo KHwab tha dekha 'anwar'
us ki tabir mujhe dil ke jalane se mili
- Book : Prinda Safar men (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.