tujhko ye ghussa teri taswir aadhi rah gai
tujh ko ye ġhussa tirī tasvīr aadhī rah ga.ī
mujh ko ye ronā mirī taqdīr aadhī rah ga.ī
zindagī kā dūsrā ruḳh raaz ban kar rah gayā
zindagī ke raaz kī tafsīr aadhī rah ga.ī
nāma-e-a.amāl se sābit hue vo bevafā
āshiq-e-nākām kī taqsīr aadhī rah ga.ī
ishq apnā husn pā kar bhī harīf-e-husn hai
ya.anī is iksīr meñ tāsīr aadhī rah ga.ī
ai siyāsat dekh terā koḌh phūTā hai kahāñ
dekh puurī vādī-e-kashmīr aadhī rah ga.ī
jā kaho 'kundan' kanhā.ī se ki tere hijr meñ
rādhikā ro ro ke jamunā-tīr aadhī rah ga.ī
tujh ko ye ghussa teri taswir aadhi rah gai
mujh ko ye rona meri taqdir aadhi rah gai
zindagi ka dusra ruKH raaz ban kar rah gaya
zindagi ke raaz ki tafsir aadhi rah gai
nama-e-amal se sabit hue wo bewafa
aashiq-e-nakaam ki taqsir aadhi rah gai
ishq apna husn pa kar bhi harif-e-husn hai
yani is iksir mein tasir aadhi rah gai
ai siyasat dekh tera koDh phuTa hai kahan
dekh puri wadi-e-kashmir aadhi rah gai
ja kaho 'kundan' kanhai se ki tere hijr mein
radhika ro ro ke jamuna-tir aadhi rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.