tujh par fida hain sare husn-o-jamal wale
tujh par fidā haiñ saare husn-o-jamāl vaale
kyā saaf gaal vaale kyā ḳhatt-o-ḳhāl vaale
mujh rañg-zard uupar ġhusse señ laal mat ho
ai sabz shaal vaale uude rumāl vaale
tahqīq kī nazar señ āḳhir kuuñ ham ne dekhā
aksar haiñ maal vaale kam haiñ kamāl vaale
saaya kuuñ sarv-qad ke DhūñDe pa kahīñ na paa.e
'ālam ke faal vaale aur kyā nihāl vaale
gar harf mere ġham kā lā.ūñ zabāñ ke uupar
ho jaa.eñ qaal vaale yak-dam meñ haal vaale
mauzūñ nahīñ kiye haiñ tujh qad sā ek misra
jal ga.e ḳhayāl vaale mar ga.e misāl vaale
gar shab kuuñ sair karne nikle 'sirāj' mah-rū
jāh-o-jalāl vaale ho.veñ misāl vaale
tujh par fida hain sare husn-o-jamal wale
kya saf gal wale kya KHatt-o-KHal wale
mujh rang-zard upar ghusse sen lal mat ho
ai sabz shaal wale ude rumal wale
tahqiq ki nazar sen aaKHir kun hum ne dekha
aksar hain mal wale kam hain kamal wale
saya kun sarw-qad ke DhunDe pa kahin na pae
'alam ke fal wale aur kya nihaal wale
gar harf mere gham ka laun zaban ke upar
ho jaen qal wale yak-dam mein haal wale
mauzun nahin kiye hain tujh qad sa ek misra
jal gae KHayal wale mar gae misal wale
gar shab kun sair karne nikle 'siraj' mah-ru
jah-o-jalal wale howen misal wale
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 616)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.