tujh pe donon nisar hain qatil
tujh pe donoñ nisār haiñ qātil
jān-e-muztar ho yā dil-e-bismil
qahr hai qahr ishq kī manzil
har qadam par hai ik na.ī mushkil
ho ga.e dekh kar vo ā.īna
apnī sūrat pe aap hī maa.il
ġham se āzād kar diyā ham ko
kyoñ na pīr-e-muġhāñ ke hoñ qaa.el
kis qadar dil-kushā fazā hogī
aap jab hoñge zīnat-e-mahfil
ādamiyyat ko naaz thā jin par
ab vo daanā rahe na vo aaqil
chāra-sāzī marīz-e-ulfat kī
aap ke vāste nahīñ mushkil
ārzūoñ meñ mach ga.ī halchal
kaun ye yaad aa gayā ai dil
tū ubhāre jo ham ko pastī se
tujh ko yā-rab nahīñ koī mushkil
haa.e jo baat bhī kahī maiñ ne
zer-e-lab tū ne kah diyā mohmal
kyā bharosa kareñ kisī pe 'naresh'
aadmī aadmī kā hai qātil
tujh pe donon nisar hain qatil
jaan-e-muztar ho ya dil-e-bismil
qahr hai qahr ishq ki manzil
har qadam par hai ek nai mushkil
ho gae dekh kar wo aaina
apni surat pe aap hi mail
gham se aazad kar diya hum ko
kyon na pir-e-mughan ke hon qael
kis qadar dil-kusha faza hogi
aap jab honge zinat-e-mahfil
aadamiyyat ko naz tha jin par
ab wo dana rahe na wo aaqil
chaara-sazi mariz-e-ulfat ki
aap ke waste nahin mushkil
aarzuon mein mach gai halchal
kaun ye yaad aa gaya ai dil
tu ubhaare jo hum ko pasti se
tujh ko ya-rab nahin koi mushkil
hae jo baat bhi kahi main ne
zer-e-lab tu ne kah diya mohmal
kya bharosa karen kisi pe 'naresh'
aadmi aadmi ka hai qatil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.