tujhse ai zist hamein jitne hasin KHwab mile
tujh se ai ziist hameñ jitne hasīñ ḳhvāb mile
naqsh-bar-āb kabhī sūrat-e-sīmāb mile
ham ne har mauj-e-havādis ko kinārā samjhā
ham ko har mauj meñ lipTe hue girdāb mile
gardish-e-vaqt ne gahnā diye kitne sūraj
sub.h kī god meñ dam toḌte mahtāb mile
jab bhī sadiyoñ kī futūhāt ko muḌ kar dekhā
ḳhuuñ meñ lithḌe hue tārīḳh ke abvāb mile
sail-e-zulmāt meñ hai qāfila-e-manzil-e-shab
kaash aise meñ koī najm-e-ufuq-tāb mile
ahl-e-kirdār ko dekhā hai sar-e-dār aksar
ahl-e-guftār tah-e-sāya-e-mehrāb mile
fasl-e-gul aa.ī hai yaaro to ġhanīmat jaano
phuul afsurda sahī zaḳhm to shādāb mile
dil ke har daaġh se vābasta hai rūdād-e-sitam
rañj baḌhtā gayā juuñ juuñ mujhe ahbāb mile
mujh ko 'aḳhtar' na milī nāla-e-shab-gīr kī daad
qarya-e-shauq ke sab log garāñ-ḳhvāb mile
tujh se ai zist hamein jitne hasin KHwab mile
naqsh-bar-ab kabhi surat-e-simab mile
hum ne har mauj-e-hawadis ko kinara samjha
hum ko har mauj mein lipTe hue girdab mile
gardish-e-waqt ne gahna diye kitne suraj
subh ki god mein dam toDte mahtab mile
jab bhi sadiyon ki futuhat ko muD kar dekha
KHun mein lithDe hue tariKH ke abwab mile
sail-e-zulmat mein hai qafila-e-manzil-e-shab
kash aise mein koi najm-e-ufuq-tab mile
ahl-e-kirdar ko dekha hai sar-e-dar aksar
ahl-e-guftar tah-e-saya-e-mehrab mile
fasl-e-gul aai hai yaro to ghanimat jaano
phul afsurda sahi zaKHm to shadab mile
dil ke har dagh se wabasta hai rudad-e-sitam
ranj baDhta gaya jun jun mujhe ahbab mile
mujh ko 'aKHtar' na mili nala-e-shab-gir ki dad
qarya-e-shauq ke sab log garan-KHwab mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.