tujhse bichhDe bhi to haalat ne rone na diya
tujh se bichhḌe bhī to hālāt ne rone na diyā
dil-shikan vaqt ke lamhāt ne rone na diyā
din ko fursat na milī ashk bahāne kī kabhī
raat aa.ī to mujhe raat ne rone na diyā
us kī āñkheñ bhī rahīñ ḳhushk hamesha kī tarah
mujh ko bhī aaj kisī baat ne rone na diyā
ashk māyūs savālī kī tarah lauT ga.e
vo milā bhī to mulāqāt ne rone na diyā
un ke hisse kā 'kañval' shahr meñ tum hī ro lo
jin ko majbūri-e-hālāt ne rone na diyā
tujh se bichhDe bhi to haalat ne rone na diya
dil-shikan waqt ke lamhat ne rone na diya
din ko fursat na mili ashk bahane ki kabhi
raat aai to mujhe raat ne rone na diya
us ki aankhen bhi rahin KHushk hamesha ki tarah
mujh ko bhi aaj kisi baat ne rone na diya
ashk mayus sawali ki tarah lauT gae
wo mila bhi to mulaqat ne rone na diya
un ke hisse ka 'kanwal' shahr mein tum hi ro lo
jin ko majburi-e-haalat ne rone na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.